Friday, October 12, 2007

Chhoti Chhoti Si Baat



Na jaane kyun, hota hai yeh zindegi ke saath
Achaanak yeh man, kisike jaane ke baad
Kare phir uski yaad chhoti chhoti si baat

Jo anjaan pal, dhal gaye kal
Aaj woh, rang badal badal, maan ko machal machal
Rahen hai chal, na jaane kyon woh anjaan pal
Saje bhi na mere, naino main
Toote re haaye re sapno ke mahal

Wohi hai dagar, wohi hai safar
Hai nahin, saath mere magar, ab mera humsafar
Idhar udhar dhoonde nazar, wohi hai dagar
Kahan gayi shaamein, madhbhari
Woh mere, mere woh din gaye kidhar

Na jaane kyun, hota hai yeh zindegi ke saath
Achaanak yeh man, kisike jaane ke baad
Kare phir uski yaad chhoti chhoti si baat

No comments: